December 31, 2014

Khamoshi

Yeh hai mere aur mere khamoshi ki kahani..

Mere dil ki baat jab dil tak me he daab ke reh gaye
Kuch kehna tha shayaad mujhko
Na jaane kyu baatein zubaan pe aa ke reh gaye

Pyar nahe tha tujhse par zarurat tha tu mere
Aitbar na tha tujhse par intezar tha tu mera
Sath ho ke bhi tera kabhi sath na paya
Kyu main yeh keh na sake,
apne bewafaye ka bayaan de na sake
Dhokha diya hai maine tujhko
Par tu bhi apne pyaar ki safaai de na saka

Kyu main tujhse keh na sake
meri jeene ki wajah tumse he..

Sapno Ki Duniya

Saasein toh sab layte hai
Jeeta har koi nahe
Kismat toh sab ki hai
Chamakti har kisse ki nahe
Sapne toh sab dekhte hai
Poore hote har kisse ke nahe

Kal kya ho kisko pata
Jee lay har lamha jaise aakhre ho
Badal de apne zindagi jaise tera kal, tere aaj me he ho..

Udaan

Ek sapna sunehra
Jo dekha hai maine
Paakh lage hai usko
Umeedo ki udaan bharta hai
Sath me lay ke mujhko

Woh sapna hai kuch khass
Mere manzil ke bhut pass
Har raat jagta hai mere neendo me
Hoole hoole kadam badhte hai
Din ke dupehre me

Haan ek sapna buna hai maine sunehra
Aaj nahe toh kal hona usko zarur pura

Sapne bade ho ya chote
Dekhne ka haq hai mujhko bhi
Intezar ki gadhi khatam hoge ek din
Sach hai yeh baat zindagi, zindagi nahe sapno ke bin